Jhula jhulaye yeh panghat
Nadya kinare yeh aangan
Nindya to aana hawa ke sang
Mujh ko bhe tu dikhana apne rang
Suno mere dil jani yeh kahani mani
Ik din mere sang yeh jahan tha
Mera kuch or tera bhi arman
Jane dil main kya kuch ya basa tha
Yeh meri hai kahani
Yeh meri kahani
Jhula jhulaye yeh panghat
Nadya kinare yeh aangan
Nindya to aana hawa ke sang
Mujh ko bhi tu dikhana apne rang
Tera mera galiyon main yun phirna
Phirte phirte raaton ko yun thakna
Thak ke nani ki godi main sona
Pariyon ke desh jaake na aana
Yeh meri hai kahani
Yeh meri kahani
Koi fikar thi na koi bahana
Muthi main tha jese yeh zamana
Kachi zuban main wo geet gana
Naye khilone sab ko dikhana
Mang liya zindagi se zyada
Chin gya wo jis ne kya wada
Kon laye wo pal jo suhane
Beete they jo wo guzre zamane
Yeh meri hai kahani
Yeh meri kahani
La la la... la la la la la... la la la
La la la... la la la la la... la la la
No comments:
Post a Comment